Himanshu Vyas

हैं जिस तरफ़ भी देखिए हक़दार मुल्क के
मिलते नहीं हमें कहीं सालार मुल्क के

ज़ाती मुनाफ़े से नहीं बढ़कर हमें हैं कुछ
थोड़े बहुत हैं हम भी गुनहगार मुल्क के

सौदा ज़मीन का किया दुश्मन से जा मिले
हम जानते हैं, कौन थे गद्दार मुल्क के

तारीख़-दाँ ने जिनको ख़स-ओ-ख़ार लिख दिया
दरअस्ल वो थे यार समर-बार मुल्क के

सागर है तीन ओर, हिमाला शिखर पे हैं
क़ुदरत ने बख़्शे हैं ये मददगार मुल्क के
Himanshu Vyas

Hain jis taraf bhi dekhiye haqdar mulk ke
Milte nahin hamein kahin salaar mulk ke

Zaati munaafe se nahin badhkar hamein hain kuchh
Thode bahut hain hum bhi gunahgaar mulk ke

Sauda zameen ka kiya dushman se ja mile
Hum jaante hain, kaun the gaddaar mulk ke

Tareekh-daan ne jinko khas-o-khaar likh diya
Daraasl vo the yaar samar-baar mulk ke

Saagar hai teen or, Himaala shikhar pe hain
Qudrat ne bakhshe hain ye madadgaar mulk ke
Himanshu Vyas