Rohit Jain

अरे अपने ही दिल से ये छलावा क्यों करें हम
नहीं बाक़ी कोई रिश्ता दिखावा क्यों करें हम

फ़क़त मतभेद होता बात करते ठीक करते
ये मन का भेद है तो झूठ दावा क्यों करें हम

तुम्हें मुझ पे भरोसा ही नहीं है बात ये है
इलाज-ए-मर्ज़ जब ना हो मुदावा क्यों करें हम

अगर यारी ही होती तो कभी तुम पूछते तो
कोई भी बात अब इसके अलावा क्यों करें हम

यहाँ कोई ख़ुदा होता तो ऐसा हाल होता
तो फिर ताबीज़ क्यों पहनें कलावा क्यों करें हम

यहाँ रोहित को ही परवाह जब रिश्ते की ना हो
ज़ेहन को आग और अश्क़ों को लावा क्यों करें हम
Rohit Jain

are apne hi dil se ye chhalāvā kyon karein hum
nahin bāqi koi rishtā dikhāvā kyon karein hum

faqat matbhed hotā bāt karte theek karte
ye man ka bhed hai to jhooth dāvā kyon karein hum

tumhein mujh pe bharosā hi nahin hai bāt ye hai
ilaaj-e-marz jab na ho mudāvā kyon karein hum

agar yāri hi hoti to kabhi tum poochhte to
koi bhi bāt ab iske alāvā kyon karein hum

yahān koi khudā hotā to aisā hāl hotā
to phir tābeez kyon pehnen kalāvā kyon karein hum

yahān Rohit ko hi parvāh jab rishte ki na ho
zehan ko āg aur ashkon ko lāvā kyon karein hum
Rohit Jain

Rohit Jain | We The Sukhanwar