जो किसी को दे उजाला,उस ख़ुशी के पक्ष में
इस अँधेरे वक़्त में हूँ रौशनी के पक्ष में
लोग कुछ ऐसे भी हैं जो ख़ुदकुशी तक कर रहे
पर रहूँगी मैं हमेशा ज़िन्दगी के पक्ष में
आदमीयत के निशां जिसमें नहीं बाक़ी रहे
रह नहीं सकती कभी उस आदमी के पक्ष में
हर तरफ़ ही झूठ का बाज़ार है फैला हुआ
किस तरह दूँगी दलीलें मैं किसी के पक्ष में
मैं भला कैसे कहूँ है बढ़ रहा अपना जहाँ
जो खड़ा है एक भीषण त्रासदी के पक्ष में
किस तरह अस्तित्व अपना वो बचायेगी कहो
जब किनारे भी नहीं दिखते नदी के पक्ष में
बाग़वां ही जब कली के जिस्म को है रौंदता
कौन देगा तब दलीलें उस कली के पक्ष में
Garima Saxena
Jo kisi ko de ujala, us khushi ke paksh mein
Is andhere waqt mein hoon raushni ke paksh mein
Log kuch aise bhi hain jo khudkushi tak kar rahe
Par rahungi main hamesha zindagi ke paksh mein
Aadmiyat ke nishan jismein nahin baqi rahe
Rah nahin sakti kabhi us aadmi ke paksh mein
Har taraf hi jhooth ka bazaar hai phaila hua
Kis tarah doongi daleelen main kisi ke paksh mein
Main bhala kaise kahoon hai badh raha apna jahan
Jo khada hai ek bhishan trasadi ke paksh mein
Kis tarah astitva apna wo bachayegi kaho
Jab kinare bhi nahin dikhte nadi ke paksh mein
Baghwan hi jab kali ke jism ko hai rondta
Kaun dega tab daleelen us kali ke paksh mein
Garima Saxena