Meenakshi 'Masoom'

बेचैन थी लहरें समंदर की अभी तूफ़ान से
हम देखते थे दूर साहिल पर खड़े हैरान से

साँसे महकती हैं अगर मैं यूँ मिलूँ उससे कभी
जैसे हवा मिल के महकती ही रहे लोबान से

मैं राह का पत्थर बनी वो देव मूरत हो गया
कुछ भी नहीं है फ़र्क़ दोनों रह गए बेजान से

दिल एक तरफ़ा इश्क़ की मुश्किल समझता ही नहीं
हैं रास्ते जो इश्क़ के होते नहीं आसान से

मौसम बदलते ही उड़े जो शाख़ से वो हैं कहाँ
लौटे नहीं वापस परिन्दें हैं शज़र वीरान से
Meenakshi 'Masoom'

Bechain thi lahren samandar kii abhi toofaan se
Ham dekhte the door saahil par khade hairaan se

Saansey mehkati hain agar main yun miloon usse kabhi
Jaise hawa mil ke mehkati hi rahe loban se

Main raah ka patthar bani vo dev moorat ho gaya
Kuchh bhi nahin hai farq dono rah gaye bejaan se

Dil ek tarafaa ishq kii mushkil samajhta hi nahin
Hain raaste jo ishq ke hote nahin aasaan se

Mausam badalte hi ude jo shaakh se vo hain kahaan
Laute nahin waapas parinden hain shazr veeraan se
Meenakshi 'Masoom'

Meenakshi 'Masoom' | We The Sukhanwar