Aliem U khan

यूँ किसी को देखकर अब मुस्कुराता कौन है
दूसरों के ग़म में अब आँसू बहाता कौन है

बस ख़ुदा राज़ी हो ऐसा फ़र्ज़ करता कौन है
नेकियाँ करते हैं सब, करके छुपाता कौन है

कुछ गरज़ कोई वसीला या नफ़ा हाजत कोई
बेवजह अब मिलने-जुलने आता-जाता कौन है

रंजिशें होती हैं ज़्यादातर उजालों के लिए
पर चराग़ों की तरफ़ उंगली उठाता कौन है

बस किसी दरिया में जाकर पाप धुल जाते हैं सब
अब किसी प्यासे को पानी भी पिलाता कौन है

ज़ेहन-ओ-दिल में तिफ़्ल के कड़वाहटें लाज़िम भी हैं
अब उन्हें लोरी सुना करके सुलाता कौन है

अपनी-अपनी ख़्वाहिशों के बुत बनाते हैं सभी
अर्श वाले का ज़मीं पर घर बनाता कौन है

लोग अपने दिल को भी पत्थर बनाने लग गए
रेत और मिट्टी के कच्चे घर बनाता कौन है

हमने दिल की बात सच्चाई से रख दी सामने
देखना है मुझपे अब पत्थर उठाता कौन है
Aliem U khan

Yūñ kisī ko dekhkar ab muskurātā kaun hai
Doosroñ ke ġham meñ ab āñsū bahātā kaun hai

Bas Khudā rāzī ho aaisā farz kartā kaun hai
Nekiyāñ karte haiñ sab, karke chhupātā kaun hai

Kuch garaz koī wasīlā yā naf'a hājat koī
Bewajah ab milne-julne aātā jātā kaun hai

Ranjisheñ hotī haiñ zyādatar ujāloñ ke liye
Par charāġhoñ kī taraf uṅglī uṭhātā kaun hai

Bas kisī dariyā meñ jā kar pāp dhul jāte haiñ sab
Ab kisī pyāse ko pānī bhī pilātā kaun hai

Zehn-o-dil meñ ṭifl ke kaṛvāhaṭeñ lāzim bhī haiñ
Ab unheñ lorī sunā karke sulātā kaun hai

Apnī-apnī ḳhvāhishoñ ke but banāte haiñ sabhī
Arsh wāle kā zamīñ par ghar banātā kaun hai

Log apne dil ko bhī patthar banāne lag gaye
Ret aur miṭṭī ke kacche ghar banātā kaun hai

Hamne dil kī bāt sachchāī se rakh dī sāamne
Dekhnā hai mujh pe ab patthar uṭhātā kaun hai

Aliem U khan | We The Sukhanwar