Neeraj Naveed

अव्वल-अव्वल बाबू-शोना होता है
बाद में केवल रोना-धोना होता है

जब-जब घर में हँसना-रोना होता है
शामिल घर का कोना-कोना होता है

तुमको तो आराम से सोना होता है
हमको उनका ख़्वाब सँजोना होता है

इश्क़ हो या रब दोनों को पाने के लिए
सबसे पहले ख़ुद को खोना होता है

उसकी मर्ज़ी के आगे सब बेबस हैं
होकर रहता है जो होना होता है

सब उससे मिलकर उसके हो जाते हैं
जैसे उनपर जादू-टोना होता है

इश्क़ नहीं आसाँ इसमें दीवानों को
थोड़ा-थोड़ा पागल होना होता है
Neeraj Naveed

Awwal-awwal babu-shona hota hai
Baad meiN kewal rona-dhona hota hai

Jab-jab ghar meiN hansna-rona hota hai
Shamil ghar ka kona-kona hota hai

Tumko toh aaram se sona hota hai
Humko unka khwab sanjona hota hai

Ishq ho ya Rab dono ko pane ke liye
Sabse pehle khud ko khona hota hai

Uski marzi ke aage sab bebas haiN
Hokar rehta hai jo hona hota hai

Sab usse milkar uske ho jaate haiN
Jaise unpar jadu-tona hota hai

Ishq nahi aasaaN isme dewano ko
Thoda-thoda pagal hona hota hai
Neeraj Naveed

Neeraj Naveed | We The Sukhanwar